December 26, 2009

Ji Kuchh Nahin

Jo tu na mila to humko mila

Ji kuchh nahin

Ik tere siva us rabb se gila

Ji kuchh nahin


Tu aaya to aangan mein ik phool khila

Tu chala gaya to ghar mein khila

Ji kuchh nahin


Jo tumse hui vo ulfat thi maloom tha ye

Iss ulfat ka aakhir mein sila

Ji kuchh nahin


Ai mere khuda jo usko diya vo dil tha mera

Ab mujhko bhi tu ussey dila

Ji kuchh nahin


Main guzra to bas guzar gaya iss baar magar

Teri khidki se kyon kar na hila

Ji kuchh nahin


Ab aa he gaye jo ‘KAMIL’ ji to izzat rakh

Bas nain mila botal se pila

Ji kuchh nahin

–==–

7 responses to “Ji Kuchh Nahin”

  1. Rutuja says:

    this is very touching…beautiful & romantic…Irshadji, U r gr8 ji 🙂

  2. bus nain mila botal se pila… ji kuch nahin
    Irshad Ji the form that you have chosen in this poetry is like the fresh air that one gets when the window opens in winter, its cool n piercing like that wind; oh! how much I love this.
    —Bas nain mila botal se pila ji kuchh nahin— is romantic yet so sufi.
    Wish you all the best.
    Maa Saraswati Aap Pe Hamesha Iss Tarah Hi Apna Aashirwad Rakhen Aisi Meri Kamna Hai Aur Maa Se Prarthna Bhi…
    much love n warm regards always
    Bharat

  3. Sum Neesha says:

    Well defined poetry Shayar Sab..
    Do dil mile or phir bichchade,
    Yeh sab Khuda ki kayanat hai,
    Ji kuchch or nahi Kuchch or nahi..

  4. Rajesh Mittal says:

    great dear…touchable..may God give u more and more success

  5. tarana badshah says:

    nice blog!Irshad ji,god bestowed this talent of writting on u ..and it works thats the best part.

  6. hazelbishwas says:

    khuda bas ek guzaarish
    Kamil se mila
    nahi toh yeh safar
    khuch bhi nahi ….. khuch bhi nahi

  7. Manju Garhwal says:

    jo bhi mila bahut kuchh mila…. botal se hi sahi sab kuchh mila……

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Zareef AT Work