December 26, 2009

Ghazal-5

Ghazal-5

Aankh mila kar tumne kehar guzara hai

Lamha lamha pighla kal ka tara hai

Buntey buntey kaise bunkar* bhool gaye

Koi hasrat, koi khawab hamara hai

Aankh milana aankh jhukana, aankhon se

Gila hai koi ya phir koi ishara hai ?

Jitney dukh hain mere hissey mein kar de

Such ka hissa saalam mehaz tumhara hai

Kaun padhega jeem ko wao ‘Kamil’ ji

Jafa wafa hai maine padh padh haara hai

-===-

*Bunkar = weaver

ग़ज़ल-५

आँख मिला कर तुमने कहर गुज़ारा है

लम्हा लम्हा पिघला कल का तारा है

बुनते बुनते कैसे बुनकर* भूल गए

कोई हसरत कोई ख्वाब हमारा है

आँख मिलाना आँख झुकाना, आँखों से

गिला है कोई या फिर कोई इशारा है?

जितने दुःख हैं मेरे हिस्से में कर दे

सुख का हिस्सा सालम महज़ तुम्हारा है

कौन पढ़ेगा जीम को वाओ ‘कामिल’ जी

जफा वफ़ा है मैंने पढ़ – पढ़ हारा है

–===–

*बुनकर = बुनने वाले [जुलाहे]

5 responses to “Ghazal-5”

  1. Rutuja says:

    Irshadji, Superb…heart touching…

  2. Neelesh says:

    Achcha laga achcha padhkar. Bunkar waali baat ki kya baat hai!Is par apni likhi bahut purani baat yaad aa gayi:

    Bade huye toh ye baat samajh mein aayi
    Dhaage ungliyan bunti thin; na ki salai

    Yahin Mumbai mein ek international advertising agency mein Sr. Creative hoon…you might have seen my work on TV. Kabhi milein toh kuch baat ho…mera no. hai. 9619355050

  3. Neelesh says:

    Achcha laga achcha padhkar. Bunkar waali baat ki kya baat hai!Is par apni likhi bahut purani baat yaad aa gayi:

    Bade huye toh ye baat samajh mein aayi
    ‘Dhaage’ ungliyan bunti thin; na ki salai

    Yahin Mumbai mein ek international advertising agency mein Sr. Creative hoon…you might have seen my work on TV. Kabhi milein toh kuch baat ho…mera no. hai. 9619355050 / [email protected]

  4. kavita says:

    beautiful sir aap to jaadugar hai …iam lucky to get all this khazaana of poetry.

  5. Rajni Malik says:

    Very good. Aap ki poems bahut asaani se samajh aati hain aur gehri maar karti hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Zareef AT Work