Kai Aur Bhi Hain
GAFLAT ke mare
Kai aur bhi hain
Khuda ke sahare
Kai aur bhi hain
Kis kis ko dekhein
Sochein kise ab
Tumhi se hamare
Kai aur bhi hain
Nazar mein chadhey ho
To dil ko bhi dekho
Kasam se nazarey
Kai aur bhi hain
Jo dil maanga humne
To bole vo “Kamil”
Tere jaise ja re
Kai aur bhi hain
–==–
Ji Kuchh Nahin
Jo tu na mila to humko mila
Ji kuchh nahin
Ik tere siva us rabb se gila
Ji kuchh nahin
Tu aaya to aangan mein ik phool khila
Tu chala gaya to ghar mein khila
Ji kuchh nahin
Jo tumse hui vo ulfat thi maloom tha ye
Iss ulfat ka aakhir mein sila
Ji kuchh nahin
Ai mere khuda jo usko diya vo dil tha mera
Ab mujhko bhi tu ussey dila
Ji kuchh nahin
Main guzra to bas guzar gaya iss baar magar
Teri khidki se kyon kar na hila
Ji kuchh nahin
Ab aa he gaye jo ‘KAMIL’ ji to izzat rakh
Bas nain mila botal se pila
Ji kuchh nahin
–==–