Khafa Mat Hona…
Khafa Mat Hona
Mujhko mehsoos ho raha hai dost
Tumhari aankhon se
Tumhari baton se
Tumhare har ik andaaz se
Tumhari khamoshi ki awaaz se
Milne ke tareeke se
Baat karne ke saleeke se
Yun takalluf sa dikhane se
Halke se gungunane se…
Jaise aaj tu kuchh mujhse khafa hai shayad…
Tujhe kasam hai mere ashqon ki
Tujhe kasam hai mer i aahon ki
Kasam hai mayus honthon ki
Kasam hai purnam nigaahon ki
Khuda ke liye door mat hona
Husn pe maghroor mat hona
Lajawaab ho hai khabar lekin
Aam insane se hoor* mat hona…
Tumne jab bhi mujhe sataya hai
Jab kabhi bhi rulaiya hai
Yani chaahat ke har imtehaan mein
Mere ishq ko bedaagh paaya hai…
Tum khud ko hoor kaho to kaho
Main tumhe hoor nahin keh sakta
Tum mujhse door raho to raho
Main tumse door nahin reh sakta…
Hoor khawahish hai bas ik khayal hai
Uske paas kahan shikwa aur malaal hai
Hoorein sirf suni sunai baatein hain
Unke paas kahan tere jaisi aankhein hain
Hoor apno ko bhoolna kya jaane
Teri tarah roothna kya jaane…
Ik tasavvur hai hoor ab to maanogi
Tum haqeeqat ho khud ko jaanogi
Main haqeeqat se door nahin reh sakta
Bas tabhi tumhey hoor nahin keh sakta…
*Hoor-fairy
–==–
ख़फा मत होना
मुझको महसूस हो रहा है दोस्त
तुम्हारी आँखों से
तुम्हारी बातों से
तुम्हारे हर इक अंदाज़ से
तुम्हारी ख़ामोशी की आवाज़ से
तुम्हारे मिलने के तरीके से
बात करने के सलीके से
यूँ तकल्लुफ सा दिखने से
हलके से गुनगुनाने से
जैसे आज तू कुछ मुझसे ख़फा है शायद…
तुझे कसम हैं मेरे अश्कों की
कसम है मेरी आहों की
कसम है मायूस होंठों की
कसम है पुरनम निगाहों की
ख़ुदा के लिए दूर मत होना
हुस्न पे मगरूर मत होना
लाजवाब हो है खबर लेकिन
आम इन्सां से हूर मत होना…
तुमने जब भी मुझे सताया है
जब कभी भी रुलाया है
यानि चाहत के हर इम्तेहाँ में
मेरे इश्क को बेदाग़ पाया है…
तुम खुद को हूर* कहो तो कहो
मैं तुम्हे हूर नहीं कह सकता
तुम मुझसे दूर रहो तो रहो
मैं तुमसे दूर नहीं रह सकता
हूर खवाहिश है बस इक ख्याल है
उसके पास कहाँ शिकवा और मलाल है
हूरें सिर्फ सुनी सुनाई बातें हैं
उनके पास कहाँ तेरे जैसी आँखें हैं
हूर अपनों को भूलना क्या जाने
तेरी तरह रूठना क्या जाने…
इक तसव्वुर है हूर अब तो मानोगी
तुम हकीकत हो खुद को जानोगी
मैं हकीकत से दूर नहीं रह सकता
बस तभी तुम्हे हूर नहीं कह सकता…
–==–
*हूर=परी
Maa-1
Chal uth maa ab ghar chaliye
Kis baat pe bol khafa ho gayi
Kyon shehar-e-khamoshan* mein so gayi
Chal uth maa ab ghar chaliye
Main chhota tha tu kehti thi
Mitti se khel ke aaun na
Ab tumne mitti odhi hai
Aur main kuchh bhi kar paun na
Tu jaane main bhi ziddi hun
Tujhe bina liye ghar jaun na
Chal uth maa ab ghar chaliye…
Bachpan se ab tak koi bhi
Meri baat na tune taali hai
Tu aaj baat na maanegi
Kyon aisi kasam utha li hai
Maa baat akhiri maan le tu
Tere bin ab ghar khaali hai
Chal uth maa ab ghar chaliye…
Jo kehte hain tu guzar gayi
Jhoothe hain saare ke saare
Main beta tera main jaanun
Vo kya jaanein tere bare
Ab dekh tu aise zidd na kar
Mere aansu minnat kar hare
Chal uth maa ab ghar chaliye…
Tune dukh seh kar jise pala tha
Us bête ka sukh dekh to le
Hai us ke haq mein aaj hawa
Hawa ka vo rukh ko dekh to le
Par iss pal beta rota hai
Uska rota mukh dekh to le
Chal uth maa ab ghar chaliye…
—===—
*Shehar-e-khamoshan=Grave Yard