December 26, 2009

Sapna

सपना

ऐसा ही होना था

हालाँकि उम्मीद कम थी

मगर एक सलीके से टूट जाना था

.

हमारे बीच था जो

.

छूट जाना था कच्चा नील

देह में तुम्हारे लिए

.

उमर के खेत में हिम्मत बोनी थी

उखाड़ फैंकना था

मायूस दिनों का जंगली घास

अच्छी फसल के लिए टूट जाना था

हमारे बीच की दीवार को

छूट जाना था भरम

तुम्हारे बड़े होने का

हमारी आँख से

सभी ने देखना था

.

सपना…

.

ऐसा ही होना था

हालाँकि उम्मीद कम थी !

.

-==-

.

Sapna

Aisa hi hona tha

Halanki umeed kam thi

Magar ek saleeke se toot jaana tha

.

Hamare beech tha jo

.

Chhoot jaana tha kachcha neel

Deh mein tumhare liye

.

Umar ke khet mein himmat boni thi

Ukhaad phainkna tha

Mayus dino ka jungle ghaas

Achchi fasal ke liye toot jaana tha

Hamare beech ki deewar ko

Chhoot jaana tha bhram

Tumhare bade hone ka

Hamari aankh se

Sabhi ne dekhna tha

.

Sapna…

.

Aisa hi hona tha

Halanki umeed kam thi !

-==-

Meghna

मेघ ना होने पर

भीतर बरसते हैं मेघ

माघ के महीने में

उम्मीद की कच्ची छत पर

ओस की तरह

.

सर्द रात और गुनगुनी धूप

गेहूं के दानों में दूध भर रही हो जब

तब आँखों की चादर में

सपनों की कतरने लपेट कर

मेघ ना मिलें हमें

तो कैसा लगेगा तुम्हें

.

मैं तुमसे पूछ रहा हूँ गेहूं की बाली

सुनहरी देह में घना कोहासा छिपाए

कितनी देर कंप-कंपाओगी

हवा के झोंके को पास पाकर

.

हवा का झोंका

किसान की उम्मीद !

–==–


Megh na hone par

Bheetar baraste hain megh

Maagh ke maheene mein

Umeed ki kachchi chat par

Os ki tarah

.

Sard raat aur gunguni dhoop

Gehun ke daano mein doodh bhar rahi ho jab

Tab aankhon ki chaadar mein

Sapnn ki katrane lapet kar

Megh na milein humey

To kaisa lagega tumhein

.

Main tum se pooch raha hun gehun ki baali

Sunehri deh mein Ghana kohasa chhipaye

Kitni der kanp-kanpaogi

Hawa ke jhonke ko paas paakar

.

Hawa ka jhonka

Kisan ki umeed…!

–==–

Pooja

पूजा

सिर्फ मेरी थी

.

मेरी ही हो सकती थी

.

पैर भी सिर्फ मेरे ही

चल सकते थे लगातार

बीसियों बेड़ियों के बावजूद

रास्ते की तलाश में

रास्ता बनाते हुए

.

सफ़र था

हुनर था

शहर था

और थी पूजा

.

सफ़र में, हुनर में, शहर में

पूजा मेरी थी…

–==–


Pooja

sirf meri thi

.

Meri hi ho sakti hai

.

Pair bhi sirf mere hi

Chal sakte the lagataar

Beesiyon bediyon ke bawajood

Raaste ki talaash mein

Raasta banate huye

.

Safar tha

Hunar tha

Shehar tha

Aur thi Pooja

.

Safar mein, hunar mein, shehar mein

Pooja meri thi…

-==-

वो चला गया

वो चला गया

जब डेढ़ पहर की धूप तेरे

दरवाज़े पे आ दस्तक दे

और हवा में लिपटे वो परदे

जब पूछें मेरे बारे में

तो कहना की वो चला गया…

घर ख़ामोशी की ख़ुशबू से

जब इतर की बातें करता हो

इक शौक़ बड़ी बेसबरी से

कुछ सबर की बातें करता हो

और याद के कोने कोने से

इक महक संदली आती हो

या खिड़की भर बदली कोई

मुझे नज़र से छूना चाहती हो

तुम कहना की वो चला गया…

अब शहर-शोर से दूर कहीं

मेरे अंदर आकर बसा है वो

कोई चाहकर खोल न पायेगा

इस तरह रगों में कसा है वो

तुम सब उसको न याद करो

उस की सब यादें मेरी हैं

क्यों तुम सबने फिर यूँ मिलकर

उस भरम की बातें छेड़ी हैं

कि है या नहीं है इश्क़ मुझे

वो भरम कभी का चला गया…

–=–

Vo Chala Gaya

Jab dedh pahar ki dhoop tere

Darwazey pe aa dastak de

Aur hawa mein lipte vo parde

Jab poochhein mere bare mein

To kehna ki vo chala gaya…

Ghar khamoshi ki khushboo se

Jab itar ki baatein karta ho

Ik shauk badi besabri se

Kuchh sabar ki batein karta ho

Aur yaad Ke kone kone se

Ik mahak sandali aati ho

Ya khidki bhar badli koi

Mujhe nazar se chhoona chahti ho

Tum kehna ki vo chala gaya…

Ab shehar-shor se door kahin

Mere ander aakar basa hai vo

Koi chah kar khol na payega

Iss tarah ragon mein kasa hai vo

Tum sab usko na yaad karo

Uski sab yaadein meri hain

Kyon tum sabne phir yun milkar

Us bharam ki baatein chhedi hain

Ki hai ya nahin hai ishq mujhe

Vo bharam kabhi ka chala gaya

–=–

Hai To Hai

है तो है

मेरे अंदर झाँक कर

तुम क्या करोगे जाने दो

इक पुराने महल के

खंडहर सा बियाबान है

मेरे दिल में इक अधूरी

आरज़ू का दर्द है

अनकही ग़ज़लों का मेरे

ज़ेहन में दीवान है

अपनी कुछ ग़ज़लों को मैं

फूलों की तरह गूंथ कर

तेरी ज़ुल्फों को सजाऊँ

ये भी इक अरमान है

–===–

Hai To Hai

Mere ander jhaank kar

Tum kya karoge jaane do

Ik purane mahal ke

Khandhar sa biyabaan hai

Mere dil mein ik adhoori

Aarzoo ka dard hai

Ankahi ghazalon ka mere

Zehan mein deewan hai

Apni kuchh ghazalon ko main

Phoolon ki tarah goonth kar

Teri zulfon ko sajaun

Ye bhi ik armaan hai

–===–

Lahsun Ki Mahak

लहसुन की महक

मेरी नींद जल रही थी अँधेरी रात में

तुम्हारी बातों से

शिकवे, ग़रीब की छत की तरह टपक रहे थे

कांच की खिडकियों पर

दस्तक देती बरसात

हवा में ठंडक भर रही थी

तुम्हारी बातों में दर्द की तरह

मैं खोया हुआ था

गुज़रे सालों की तलाश में

जो कांच की खिडकियों से

साफ़ हो चुके थे जैसे धूल

कहीं खो चुके थे

उन खोये हुए सालों का सुराग

तुम्हारे हाथों से आ रही

लहसुन की महक में था

तवे पे जली उँगलियों में था

या उस चाँद में

जो तेल के छींटे ने तुम्हारे हाथ पे बनाया था

न मैं हाथ पकड़ पाया

न उँगलियों की जलन मिटा सका

न हाथ से चाँद हटा सका

लहसुन की महक ने भी कोई नया रास्ता नहीं दिखाया

मैं इक दर्द के साथ

फिर उसी पुरानी राह पे लौट आया…!

–==–

Lahsun ki Mahak

Meri neend jal rahi thi andheri raat mein

Tumhari baaton se

Shikwey,  gareeb ki chhat ki tarah tapak rahe the

Kaanch ki khidkiyon par

Dastak deti barsaat

Hawa mein thandak bhar rahi thi

Tumhari baaton mein dard ki tarah

Main khoya hua tha

Guzare saalon ki talaash mein

Jo kaanch ki khidkiyon se

Saaf ho chuke the jaise dhool

Kho chuke the

Un khoye huye saalon ka suraag

Tumhare haathon se aa rahi

Lahsun ki mahak mein tha

Tave par jali ungliyon mein tha

Ya us chaand mein

Jo teil ke chheente ne tumhare haath pe banaya tha

Na maine haath pakad paaya

Na ungliyon ki jalan mita saka

Na haath se chaand hata saka

Na lahsun ki mahal ne koi naya raasta dikhaiya

Main ik zakham ke saath

Phir usi purani rah pe laut aaya

–===–