Sookhe Honth
सूखे होंठ
सूखे होंठ
जब प्यास की भाषा में बात करते हैं
तो उम्मीद की शाख़ पर आती है पहली पत्ती
होता है
बच्चे से पहली बार माँ सुन ने जैसा एहसास
सूखे हुए होंठ
मुस्कराहट के बादल की तरह फट जाते हैं
तहस-नहस हो जाता है शब्दों का सारा शहर
नहीं सुनाई देती जिस्म की पुकार
अपना सा कोई
फैल जाता है ज़मीन से आसमान तक
सर से पाओं तक
उम्मीद से आहों तक
छूने की खवाहिश ओस बन जाती है
और
मिलने की खवाहिश धूप
एहसास के पानी में बहता रहता है इंसान
सूखे होंठों के साथ भी
ज़िन्दगी को तर करता हुआ
अपने अंदर के मकान को घर करता हुआ
–==–
Sookhe Honth
Sookhe honth
Jab pyaas ki bhasha mein baat karte hain
To umeed ki shaakh pe aati hai pehli patti
Hota hai
Bachche se pehli baar maa sun ne jaisa ehsaas
Sookhe huye honth
Muskurahat ke baadal ki tarah phat jaate hain
Tahas-nahas ho jaata hai shabdon ka sara shehar
Nahin sunai deti jism ki pukaar
Apna sa koi phail jaata hai
Zameen se aasman tak
Sar se paon tak
Umeed se aahon tak
Chhoone ki khawahish os ho jaati hai
Aur
Milne ki khawahish dhoop
Ehsaas ke pani mein behta rehta hai insaan
Sookhe honthon ke saath bhi
Zindagi ko tar karta hua
Apne ander ke makaan ko ghar karta hua!
–===–
Jab
जब
सुरमई रस्तों पे जब
कोई चाँदनी तेरी शकल में
चलती है तो सन्नाटे में
इक सेंध सी लग जाती है
पड़ जाती हैं लाखों दरारें
खामोशियों के बदन पे
किसी गीत की महक लिए
आती है कोई सांस फिर…
—==—
Jab
Surmai raston pe jab
Koi chandni teri shakal mein
Chalti hai to sannate mein
Ik sendh si lag jaati hai
Pad jaati hain laakhon daraarein
Khamoshiyon ke badan pe
Kisi geet ki mehak liye
Aati hai koi saans phir…
–==–
Bahar Nahin Aata
दिल दर्द के लगान से बाहर नहीं आता
ये क़र्ज़ है किसान से बाहर नहीं आता
हर वक़्त वाह वाहियाँ चाहा करे कोई
तारीफ़ की थकान से बाहर नहीं आता
मैं रूह की बातें लिये दहलीज़ पे खड़ा
तू जिस्म के मकान से बाहर नहीं आता
जो लफ्ज़ तार तार सा होंठों पे है बिछा
वो तीर है कमान से बाहर नहीं आता
बेख़ौफ़ है ज़मीर से वो जानता है कि
मुर्दा क़बरिस्तान से बाहर नहीं आता
तू क़त्ल कर कसूर ना मेरा मुझे बता
कि मैं कभी कुरआन से बाहर नहीं आता
बेफ़िक्रियाँ ख़रीद के “कामिल” औलाद की
बेफ़िकर मैं दुकान से बाहर नहीं आता
–==–
Dil dard ke lagan se bahar nahin aata
Ye karz hai kisaan se bahar nahin aata
Har waqt wah wahiyan chaaha kare koi
Tareef ki thakaan se bahar nahin aata
Main rooh ki batein liye dehleez pe khada
Tu jism ke makaan se bahar nahin aata
Jo lafz taar taar sa honthon pe hai bichha
Vo teer hai kamaan se bahar nahin aata
Bekhauf hai zameer se vo Jaanta hai ke
Murda kabristaan se bahar nahin aata
Tu qatal kar kasoor na mera mujhe bata
Ki main kabhi qur’aan se bahar nahin aata
Befikriyan khareed ke “Kamil” aulaad ki
Befikar main dukaan se bahar nahin aata
–===–