December 26, 2009

सर्द रातों में तेरी याद की चादर लेके…नींद आती है तेरे प्यार के मंज़र लेके…प्यास थोड़ी थी मेरी झील के पानी जितनी…होंठ सूखे ही रहे सात समंदर लेके…

10 responses to “”

  1. bharti says:

    bahut khoob! Irshad u r too good to be appreciated through words.im honestly falling short of words.BAHUT BAHUT BAHUT KHOOB!

  2. bulbul says:

    i truly admire the subtleties n depth in your writing.the last 2 lines are just marvellous,theyadd a whole new dimension to the complete phrase/sher.

  3. Rutuja says:

    simply SPLENDID…lovely nuance n very intense….gr8ly emotive n beautifully romantic…

  4. Hazel Bishwas says:

    har lavz hai taareef ke kaabil
    tasir to tasir tasavur hai gurezan
    raton ko zara mangiye uth uth ke dua aur

    aapki taareef kaise karein …. lavz nahi mil rahe …. asusual every line speaks volumes .

  5. tasveer says:

    lugta hai aapne mohabbat ko aur ussey jude har ehsaas mein jaan bhoonkne ki zidd karli hai.mano mohabbat hawa mein tairti khushboo na hokar, ek ruhani phool ho….bus haath badhayen aur hum usey choo lein.kya kahun………….bahut khoob kehna bhi bemani aur chhota lagta lugta hai aapki iss ruhaniyat bhari baat ke aage.

  6. Irshad Kamil says:

    Bharti, Bulbul, Mrunalinni, Rutuja, Hazel n Tasveer thank u very much for ur comments n encouragement. Keep visiting
    keep smiling
    Keep a rainbow in ur heart…

    rgds

  7. kavita says:

    Simply Wow sir..thnx for the rainbow wishes..:)

  8. saba khan says:

    kisi maslehat se bahaar khud mere lab k pass thehar gai,,,meri aarzu thi khiza k khushak udass honto ko main chum lun…b badr
    aesa hi khayaal kuch papa ka bhi tha ..
    kamil sahab aapka ka tasavur behad pasand aaya…

  9. Irshad Kamil says:

    Mrunalinni n Kavita Thanks a lot.

    @ Saba Sahiba aapke walid Hindustan ke bahut bade shayar hain…unko nai peedhi ka adab se juda har naujawan Salaam karta hai. Main unka kalaam school ke dinon se sunta aur padhta aa raha hun.

    Chandigarh mein ek mushaira hua tha [jab main MA kar raha tha] tab unke saamne kalaam padhne ka mauka mila tha…mere kalaam padhne ke baad unhone kaha mushaira khatam hone ke baad milkar jana Irshad…vo sadaarat kar rahe the. Mushaira khatam hua to unke chahne waalon ne unhey gher liya. main kinare pe khad unse milne ka mauka dhoondh raha tha. Unhone paas bulakar kaha kal subah hotel aana.

    Agli subah main gaya to vo mujhse Ghazalein sun ne lage, sunte rahe aur chai peete rahe, medicine lete rahe, shave bhi karte rahe…main sunata raha ek ke baad ek. Itni der mein Krishan Bihari Noor sahib unke kamre mein aaye…vo pehchaan to gaye mujhe ki ye ladka raat mushairey mein tha lekin naam bhool gaye the mera…Unhone kaha “main bhool gaya kya naam hai tumhara?” maine kaha “Irshad Kamil”…Aapke walid sahib ne kaha “Noor sahib ye naam yaad rakhiyega, aane wale kuchh saalon mein ye naam bahut bada naam hone wala hai.” mujhe jo chahiye tha mil gaya tha Dr Bashir Badr ki DUA…Khuda sehat aur tandrusti ke saath unki umar daraaz kare, Ameen.

    Aap website pe aayin aapka bahut shukriya. apni aamad barkaraar rakhiyega.

  10. Shadab says:

    this s awesome… \m/

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Zareef AT Work