December 26, 2009

Main Chahta Tha

Main Chahta Tha

Main barsaat ki rimjhim mein

Kisi oonchey makaan ki

Khidki ke paas

Bahut saleeke se sochna chahta tha

Tumhare bare mein meri jaan

Khayalon ke oonche makaan ki

Khidki ke paas

Barsaat ki kanwari boond ke

Dharti ki deh ko milne se pehle

Sochne wala tha main

Tumhari reshami zulfon

Sharbati aankhon

Raseele honthon

Aur meethi baaton ke bare mein

Par nazar chali gayi

Sadak pe thithurte

Do boodhey bachchon par

Ek sookhe peid par

Khaali peit par…

Maine chhalaang laga di khayalon ki khidki se

Roti ka dibba sambhaal kar

Chal diya kaam par…

Halanki barsaat ki rimjhim mein

Main bahut saleeke se sochna chahta tha

Tumhare bare mein meri jaan

—==—