Tum aur September
Tum aur September
September ki hawa mein sarsarati
Jis nazam ko
Mausmon ne tumhare naam kar diya tha
Maine un mausmon ka
Ek geet bana kar
Tumhari payal mein piro diya hai
Ab tum apni payal ki jhankaar mein
Saare mausam dekh sakti ho
Dekh sakti ho ki mausamon aur suron ke beech kya rishta hai
Rishtey kaise badal jaate hain
Mausamon aur suron mein
Tum jab bhi rishton, mausamon ya suron ki baat karo
To September ki hawa mein sarsararti
Us nazam ko mat bhool jata
Jinhey mausamon ne
Tumhare naam kar diya tha
Tumhara naam
Khushboo ki tarah phail gaya tha hawa mein
Maine kaha
Hawa ke kaagaz par peid pattiyon ki kalam se
Tumhara naam likh raha hai
Jise padh rahi hai saanjh dhale ghar laut te
Panchhiyon ki kataar
Aur saamne peid par chehakti chidiyein
Un chidiyon ki chahak mein
Tum wahi sur paogi
Jo qaid hain tumhari us payal mein
Jismein mausamon ka ek geet bana kar
Maine bhi piroya tha…
—===—
