December 26, 2009

जिसने इश्क़ का अलिफ़ ना जाना चाहत का दीवान* लिखे…

ख़ुद को लिखता पाक ख़ुदा सा दुनिया को शैतान लिखे…

वक़्त अज़ानों का ना जाने नफल** नमाजें भूल गया…

इश्क़ मसीहा जो बन बैठा दिल का गलत कुर’आन लिखे

*Anthology, **prayers to make Almighty Happy

16 responses to “”

  1. tasveer says:

    bahut gehri sachchayi keh di aapne! im just in awe of the last line……. its a MARVEL Irshad…

  2. bharti says:

    i am speechless n completely thoughtless after reading your lines.

  3. shelly says:

    bahut khoob Irshad! par aapka likha padhke ik khayal aaya……………..ki un dewaanon ko unki izzat aur shorat hamare unhe padhne aur acknowledge karne se hi to milti hai ……..aur unhe khuda ki padwi bhi hamare unhe khuda maanne se hi milti hai…………….aur hamara aisa karna kahin na kahin hamare swayam ki oar hamari agyaanta aur bhitari andhkar ka reflection hai(pratibimb),if thats the right word?}toh phir galti hamari bhi to hai na?

  4. bulbul says:

    aapka likha padha,bahut accha likhte hain aap…………..yah to sab kehte hi hain………aur aap sach mein likhte hain is wajah se hi kehte hain-yeh bhi sach hai……………..main ek aur sach kehna chahti hoon……..aur yeh baat main sirf apni taraf se keh rahi hoon………aapke kaam ki main hamesha sacche dil se tareef karti hoon aur karti rahungi,jab tak mujhe sach mein pasand aayega…………par ab main tareef se aage kuch badhna chahti hoon…………mujhe writing,esp poetry ke baare mein knowledge nahi hai…….par ab aisa mehsoos hone laga hai ki agar mujhe hoti toh main apne comments kisi doosre angle aur point of view se dene ke kabil bhi bann paati.main koshish karna chahti hoon…..agar aap is baare mein thoda sa guide kar dein to main aapki bahut shukar-guzaar hongi.

  5. Sanjiv Dawar says:

    bahut hi badi baat kahi hai irshad…aksar duniya mein aisa hota hai ki hum apne aap ko tatole bina dooseron ke baare mein rai banane lagte hain…ya jab bhi cheezon ko apne nazariye se dekhte hain to apne aap ko hamesha sahi paate hain, jab ki hum hamesha sahi nahin hote, tumne ye baat bahut naye andaaz mein kahi hai ki jo apne aap ko hamesha sahi kehta hai vo duniya ka sabse galat insaan hai. Meri dua hai aur gehra utro aur achha likho.

  6. rajni says:

    very true.remarkable thought.beautifully translated into poetry.vast n deep,yet comprehensible………looking forward to greater writings from u.God Bless You!

  7. Irshad Kamil says:

    shelly aapne bilkul sahi kaha aur bahut steek kaha…galat insaan ko sahi maan lene mein usi ki galti hai jisne maana hai na ki us insaan ki jo tha hi galat. ab kaun galat hai ya kaun sahi ye har ek ki apni apni paribhasha hai. hamari akal jab do logon ke beech koi faisla karti hai, aur un dono mein se agar ek party hum hain to faisla hamesha hamare haq mein jaata hai kyonki 99.9% log truely objective hokar nahin soch paate…Ishq ke baare mein to bilkul hi nahin.

  8. Irshad Kamil says:

    Bulbul Poetry ke baare mein jaane ki lalak paida hona bahut achhi baat hai…aapke mann mein poetry ko lekar kabhi bhi koi bhi sawaal ho aap isee page pe share kar sakti hain jis se baki sab bhi us discussion mein shamil ho sakein. Aap solan pahunch gayin ya chandigarh hi hain?

  9. Irshad Kamil says:

    बहुत बहुत शुक्रिया संजीव मेरे असल मनन की बात आपने कह दी तुम्हारा कमेन्ट पढने से पहले मैंने अभी शैली को लगभग यही जवाब दिया है…पंजाबी की एक कहावत है जिसका हिंदी अनुवाद है कि ‘ पहले अपनी चारपाई के नीचे देखो कौन छुपा है फिर किसी और को कुछ कहना ‘ आपने ये ज़रूर सुनी होगी…किसी को जाने बिना अपनी असलियत से मुंह फेर कर हम कोई राइ नहीं बना सकते. इस पेज पे बने रहिये.

  10. Rutuja says:

    amazingly awesome…wonderfully wow…very deep…very truthful…

  11. Irshad Kamil says:

    Thank u so much Rutuja, ur presence is inspiring many.

  12. smriti says:

    well said

  13. Rutuja says:

    Irshad, Ohhh… m touched deeply 🙂 m amazed totally 🙂 m humbled greatly 🙂 thanks -so very much….

  14. Irshad Kamil says:

    Thanks Smriti…ye website aapko bahut miss karti hai…

  15. Rachana says:

    बहुत खूब! और बहुत सच भी!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Zareef AT Work